**Jub us k dar say utha main malaal koi na tha
K Meri jholi mein baaqi sawal koi na tha
Bahaar aai to apna siwaye zindaan k
Tamaam shehar mein pareshan haal koi na tha
Kahan say laa k bichaye tumhari rah mein phool
K daal daal to kaya? khaal khaal koi na tha
Wo din he theek thay jub dil mein rut badalnay ka
Gumaan_o_khuwab yaqeen_o_khayal koi na tha
Yaqeen ker k teri aankh uthnay say pehlay
Meri nigaah k sheeshay mein jaal koi na tha
Hua jo youn to ye khobi teray hunar ki thi
Meri wafaon mein mera kamaal koi na tha…**