Jub Tum Say Mohabat Key Hum Nay.....!!!

Chahary Pay Khushi Cha Jaati Hai Ankhoon Main Saroor Aa Jaata Hai
Jub Tum Mujhay Appna Kehtay Hoo Apnay Pay Gharoor Aa Jaata Hai

Tum Husn Key Khud Ik Duniya Hoo Shahid Yeh Tumhain Maloom Nahee
Mehfil Mian Tumharay Aanay Say Her Chees Pay Noor Aa Jaata Hai

Hum Pass Say Tum Koo Kiya Daikhain Tum Jub Bhee Moqabil Hootay Hoo
Bay Tab Nigahoon Kay Aagay Parda Sa Zaroor Aa Jaata Hai

Jub Tum Say Mohabat Key Hum Nay Tub Jaa Kay Kaheen Yeh Raaz Khula
Murnay Ka Saleeqa Aatay hee Jeenay Ka Shaoor Aa Jaata Hai


Meiji