**bhool jaoon na uskey mansab ko
martaba meray robaroo karna…
ishq karne lagoon to qismat ka
zaiechaa meray robaroo karna…!
duniya waloon ney to bohat dekha
meray lafzoon main toot-ta mujhko
aaj khud ko main toot-ta dekhon
aaina meray robaroo karna…!
chahey phir haal jo hamara ho
tum se itna hi mujhko kehna hai
yunhi chup chaap chor na jana
faisla meray robaroo karna…!
meri wehshat tumhain hila dey gi
meri shiddat tumhain rula dey gi
zabt waloon kabhi jo mujh se milo
hosala meray robaroo karna…!
Uski dharkan key silsiloon main
mujhey naam apna sunai deta hai
Uski dharkan ko ungliyoon se choun
silsila meray robaroo karna…!
Sakta hasti ka toot jae ga
mujhko wehshat se hosh aye ga
Main jo gum sum hoon mujhko
chonka do hadsa meray robaroo karna…!
Us ney BAI’AT badal key rakh di tu
main nay phir Saff sey youn pukara hai
meri muthi main piyaas utri hai
karbalaa meray Robaroo karna..!
Teray shikve gilley baja lekin…tu ne mujh se kaha suna hota
Dil ki batain na dil main rakh lena
ab gila meray robaroo karna..!
Kab sey main uski aass main gum thi
tu ney usko kahan luta dala
Rahhnuma..! usko kahan chor aaya ..? qafila mere robaroo karna..!
Mein bhi dekhoon key kaisi hoti hai meri
chahaat main tumko beytaabi
tum jo mujh bin kabhi bikhartey hoo
Ye ada meray Robaroo karna…!
Woh bhi shamil hai aisay logoon main jo
mujhey zindagi say barh kar hain
Uska Chehra bhi samnay rakhna
Jub Qaza meray Robaroo rakhna..!
Mujh sey meray khuda ney itna kaha
koi meray siwa na ho dil main
phir jo chahaye main baksh dalonga
Bas dua meray Robaroo karna..!
**