**
Lakh duuri hoo magar ehud nibhate rehna
jub bhi baarish ho mera sough manate rehna
Tum gaye hoo tu sar e shaam yeh adaat thehre
bus kinaray per kharey haath hilatey rehna
Janay iss dil ko yeh adaab kahan say aye
iski raahoon main nigahoon ko bichatey rehna
Ek mudaat sey yeh mamool hua hai ab tu
ap he routhna aur app manatay rehna
Tum ko maloom hai Farhat kay ye pagal paan hai
Duur jatey houy loguun ko bulatey rehna ..
**