Jub aur faqt
Aik shaks ki badulat
Tumhare ander ka mosum badulnay lagay
Chilchalati dhoop thundak ka ehsaas day
Hawa mein Uski kushbo mehsoos karo
Hur chehray mein Us ka chehra nazr aay tu
Samajh laina k Mohabat ki ibtida hai
Jub ankhoon mien Us ka aks dhikhaai day
Hur pal Us ko apnay qareeb mehsos karo
Be-Qarar dil ko qarar
Aur laboon pur muskaan
Faqt Us k khiyaal say hee reeng jaay tu
Jaan Laina k ye Mohabbat hai
Jub raat neend churanay lagay aur
Akhiyaan be-khwaabi ki aadi ho jayein
Taanhai tumhari saheli
Khamooshi batein kurnay lagain
Nainaan sawun baha din
Aur dil sehra ho jaay aur
Barish ka pani sulgaay
Qatra qatra Dil phiglaay
Aur tum be-sabab ronay lago
Tu Yakeen kur laina
K YEHI MOHABBAT HAI