Jub Agle Saal Yehi Waqt Araha Huga

JUB AGLE SAAL YEHI WAQT ARAHA HUGA

Jub agley saal yehi waqt araha huga
Yeh kon janta hai kon kis jaga huga
Tu mere saamney betha hai aur mai soochta hun
Ke atey lamhoon mai jeena bhi ek saza huga

Yehi damkte pal dhuwaa’n dhuwaa’n hunge
Yehi chamkta hua din bujha bujha huga
Lahoo lai ga; woh dhoop chaaon ka manzar
Nazar uthaon ga jis simt jhatpata huga

Yehi jaga jahan hum aj mil ke bethey hain
Isi jaga khuda janey kul kya huga
Bicharney waley tujhey deekh deekh ke soochta hun
Tu phir miley ga tu kitna badal chuka huga!!!..