Jokezzz

  1. Begum sahiba shuher se kehnay lagein: mein neighbors kay ghar jaa rahi hon.. 5 min baad aaon gi.. Aap 15 mn baad oven band ker dejiye ga aur 1 hr baad Hamid ko school se lay ana..

  2. Aik doctor ney mareez ko bill bhijhwaya jis mein likha tha: “aaj yeh bill pooray aik saal ka hogaya hai, iss ki aadayegi abhi tak nahi huwi” Mareez nay bill per yeh likh ker wapis bhijwa dia: “Saal gira mubarik”

  3. bara bhai chotay bhai se: Tum exam mein kaamyaab hogaye?
    Chota Bhai: jee haan, sari class pass hogayi lekin sirf hamarey teacher rah gaye..
    Bara bhai: kya mutlab?
    Chota Bhai: woh abhi tak iss class ko parha rahey hain…

4.Teacher: exam paper printing press mein print honay jaa chuka hai, imtehaan mein sirf 2 din reh gaye hain.. tum mein se koi ager koi sawaal poochna chahta hai tu poochle..
Aik ladka: woh printing press kahan hai??

  1. Imtehaan kay kamray mein aik ladkay ko pareshaan deekh ker teacher ne poocha: “kya sawaal bohot mushkil hai??”
    Ladka bola: jee nahi
    Teacher: tu phir kya soch rahey ho?
    Ladka: Mein soch raha hon. kay iss sawaal ka jawaab meri kis pocket mein hai…

  2. aik aadmi apni car mein baith ker kahein jaa raha tha kay raaste mein police waley ne paker kiya aur kaha tumhari gaari ka chalaan hoga kyun kay tumne yehan horn bajaya hai jebke yehan per horn bajana mana hai. iss baat per dono ki behas ho gayi…akhir uss aadmi ko yaad aya kay uski gaari ka horn tu kharab hai.. usne yeh baat police waley ko batayi..yeh sun ker police wala itmenaan se bol, mager chalaan tu ab bhi hoga kyun kay horn na rakhna bhi crime hai..

  3. Teacher student se: mein kehta hon. tumse bara ghada koi nahi hai
    Student: mager teacher meray dhobi ka ghada tu mujhse bhi bara hai..

  4. Aik sahib suicide kay bilkul khilaaf thay.. aik dafa speech kertey huway woh bolay.. “suicide haraam hai, Allah Mian isko pasand nahi kerta, issey behtar hai kay insaan khud ko goli maar ker halaaq ker day”

P.S: Hope u like it.. it’s my first post to any site :blush:

:rotfl:..
nice ones:k:..
and
WeLKuM 2 GS:flower1:…

Thanks! :) Ure appreciation is highly appreciated!!!!

thnx for sharing:k:

and Welcome to GS

nice cute ones...:)

:D