jokes

1)muqabala

aik hotel ki intzamiyaan ney ilaan kia .

“jo shakhas 100 rotian aik saath khaey ga usey 10,000 naqad inaam dia jaey ga.”

ya sun ker aik shakhas hotel gaya or rotian khaney ka da’wa kia. to mukabala shuru huwa.

wo aadmi rotian khata raha yahaan tak k 90 rotian kha gaya .ya dekh ker hotel waley barey preshaan

huwey .lehaza unhon ney score board per rotion ki ta’daad ghata di.kaafi daer tak yahi sislah jari raha.

to wo shakhas chilla utha .

“Yahaan beyimaani ho rahi ha. muqabala dobara shuru ho ga.”


2)samajdaar

Ireland k aik jorey ney wait naam ki jang main yateem ho janey waley aik nozaeda bachey ko god lia.

or usi roz sey waitnaami zubaan sikhna shuru ker di . ta’key jab bacha bara ho to wo us ki guftgu ko samjh sakain.


3)likna nahe atta

phone ki ghanti baji to aik bachi ney phone uthaya or pochney per bataya main anam bol rahi hoon.
meri umer 6 saal ha main is wakat gher per akaili hoon ammi gher per naheen hain.
beti kia tum apni ammi k liay message note ker lo gi? phone kerney waley ney payaar say kaha.
kiun naheen laikin aap zara thehrain main pen ley aaoon.anam ney ma’sumiat say kaha.
thori daer ba’d wo dobara phone per aaee or boli.
main ney pen ley li ha laikin zara thahriay main kagaz lena to bhool hi gaee
phone kerney waley ney kaha chalo theek ha kaagaz bhi ley lo.
dusri martaba us ney receiver uthaya to boli.
mujhey pen mil gaee ha aur kaagaz bhi mil gaya ha laikin aik baat ka to mujhey khayaal hi naheen raha
mujhey to abhi tak likhna naheen ata


4)Ma’sumiat

baarish main aik talibilm apney hostel k kamrey main wapas aya to dekha k us ka dosat

us ki barsaati pahan ker bahar nikal raha tha.us ney gerrj ker pucha

“tum ney meri ijaazat k bager meri barsati istmaal kerney ki jurrat kesay ki”?

dost ma’sumiat say bola_

“kia tum pasand kero gey k tumhara sab say khoobsurat soot baarish main bheeg ker kharaab ho jaey-”


5)khudaar
astak axchange main new khudkar nizaam nasab kia gaya tha.jis per phone ker k kisi bhi company k
shares ki taaza tareen qimat ma’loom ki jaa sakti thi.

aik sahab nay us system ka number dial kia to foran hi aik record shuda awaaz sunaee di :

“aap kis company k shares ki kimaq ma’loom kerna chahtain hain?”

jawab say pahlay un sahab ko cheenk aa gaee .foran hi record shuda awaaz ubhri.

“disprene bananey wali compani k shares ki kimat 6 pasey barh gaee ha.”


6)Shok-e-awaaragi

Allah rakha sahab 50 saalon say gaaon k aik hi makaan main rah rahey they.aik roz achanak
wo baraber main khaali honey waley makaan main shift ho gaey.gaaon ka iklota akhbaari reporter
waja pochney k liay un k paas ja pohancha.
“bas kia bataoon ?” Mr.Allah rakha sahab thandi aah bher ker boley .

“mera khayaal ha ’ wo jo mujh main aik khana badosh ki rooh ha ’ wo mujhey chaen say naheen bethney deti.”


7)Husn-e-kalaam

dafter k manager ney mulazim ko jawaab dena tha saath hi wo us ki dilshikni bhi naheen kerna chahtey they.
unhon ney mulaazim ko bula ker kaha.

“sajzaadey ! ma’loom naheen k tumhaarey begaer ham karobaar kesay chalain gey.baherhaal monday k din say
ham ya tajarruba ker k dekhna chahtain hain.”


hummay tum say pyar kitna :)yae hum nahe jantay:)

good jokes heehee keep it up

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hula.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif


**Born To Be Anything
Rude Boyz Rulez
**

thanks


hummay tum say pyar kitna :)yae hum nahe jantay:)

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

Good ones man, keep it up

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


The Lone Ranger