angrezon ke daur me, india me aik paharri pe 3 officers rehtay thay…
pahaarri ke nichlay hissay me sab se low grade office thaa…
thorr oopar ja kar middle grade ka officer…
or paharri ki choti par sab se barra angrez officer…
is paharri ke daman me aik dhobi thaa jo in sab ke kaprray dhoya karta thaa…
dhobi ke paas aik gadha thaa, jis pe woh sab kaprray laad kar gharon tak pohanchata thaa…
paharri ki choti pe jane wala raasta muskil tha is liye dhobi apna gahda wahan nahin le ja sakta thaa…
lehaza woh angrez officer ke kaprray khud hee uthaa kar le jata…
itefaqan angrez officer ne yeh note kiya ke dhobi baqi sab gharon me to gadhay par kaprray laad kar le jata hai, lekin us ke ghar gadha nahin le kar aata…
angrez officer ne is ko apni toheen samjhi “a case of racism and discrimination”…
us ko is baat par sakht ghussa aaya…
next time jab dhobi us ko kaprray denay aaya to us ne apni tooti phooti urdu me us ko kaha “yeh gadha, woh gadha, woh gadha, HUM KYOON NAHIN GADHA”???
dhobi ne kucch der us ki shakal dekhi or phir masoomiyat se kaha “accha saab, aap bhee gadha”…