Eeza dahi ki daad jo pata raha hun main
Har naaz aafreen ko satata raha hun main
Aye khush khuraam!paaon k chhale tou gin zara
tujh ko kahan kahan na phirata raha hun main
Tujh ko khabar nahin k tera haal dekh kar
Aksar tera mazaq udata raha hun main
Jis din se aitamaad mein aaya tera shabab
Uss din se tujh pe zulm hee dhata raha hun main
Bedaar kar k tere badan ki khud aagahi
Tere badan ki umr ghatata raha hun main
Nice ..