****Johar Kanpuri~~~~Zindagi****

       ~~~Zindagi~~~

Zindagi usne ataa ki hai mohabbat ke liye
Dilrubaai ke liye pyar ki jannat ke liye

Uljhane paal ke mat zindagi dushwaar karo
Khoobsurat hai bohot khoob isey pyar karo

Subah ko khilte gulabon main sajao isko
Raat ko raat ki raani se milaao isko

Zindagi aisi guzaro ke yeh hasti hi rahe
Chudiyon ki tarah din raat khanakti hi rahe

Saath jab tak hai mohabbat ki panaho main raho
Pyaar hi pyaar karo pyaar ki baahon main raho

(Nuruddin Ahmed)

Re: *Johar Kanpuri~~~~Zindagi*

waah khob kaha lekin agar khanay mai meetha hee meetha ho to bhee maza nahi aata!!!