**
SOUN !
tum ho meri zaat ka hissa
me tujh se pyar kerta hun
kash vo sab
ek bar
jo tu ne keh dia hota
me yun na darbadar phirta
**
SOUN !
tum ho meri zaat ka hissa
me tujh se pyar kerta hun
kash vo sab
ek bar
jo tu ne keh dia hota
me yun na darbadar phirta
Re: jo tu ne keh dia hota
uske kehne ka intezar kyon tha ?
Re: jo tu ne keh dia hota
Yeh larke k moonh se acha lage ga k
Agar Tu ne keh diya hota to
Main larkiyon k peeche na bhaagta phirta:teary2:
![]()
Re: jo tu ne keh dia hota
vo keh degi to zeada bhago gey :D
Re: jo tu ne keh dia hota
hahahahahahaha kamal ho gya ha...
Re: jo tu ne keh dia hota
kia
Re: jo tu ne keh dia hota
Kisi ke ‘main tum se pyar karta hoon’ se zindagi itni badal jati hai? ![]()
Re: jo tu ne keh dia hota
HAN BILKUL BADALTI hi
hamre tajrubon pe mat rahen khod bhi mushahida karen ![]()
Re: jo tu ne keh dia hota
pata nahin apne tajrubon ne to iss ishq ka khokhla pan aur sara kacha chatta khol ke samne rakh dia hai
Re: jo tu ne keh dia hota
zaruri nahi har dafa kharabi ho
waqt orr qismat ki bhi baaat hoti hy:snooty:
Re: jo tu ne keh dia hota
haan lekin doodh ka jala chhaach bhi phoonk kar peta hai
Re: jo tu ne keh dia hota
phoonk lein per tayar to hein
ap ne mère pm ka jawab nahi dia ![]()
Re: jo tu ne keh dia hota
de dia hai ![]()
Re: jo tu ne keh dia hota
pata nahin apne tajrubon ne to iss ishq ka khokhla pan aur sara kacha chatta khol ke samne rakh dia hai
try try again
Re: jo tu ne keh dia hota
Aisa ka:smokin:
Tajurbe:hmmm:
Kiya Aap ne bhi 8 mohabbatein kar daalein:wink:
Re: jo tu ne keh dia hota
aqalmand ko ishara kaf hota hai.. sabaq seekhne ke liye aath balaen sir pe kon leta hai
Re: jo tu ne keh dia hota
try try again
zindagi mohabbat ki laboratory ka naam nahin
Re: jo tu ne keh dia hota
zindagi mohabbat ki laboratory ka naam nahin
per apny aap ko aik jaga roka bhi to nahi ja sakta
Re: jo tu ne keh dia hota
zindagi mohabbat ki laboratory ka naam nahin
tajarbaat mein izafay k leay
Re: jo tu ne keh dia hota
per apny aap ko aik jaga roka bhi to nahi ja sakta
thehrao se kamyab rishte banane ka fun aata hain insaan main