tu aik waqat tha jisko bhula dia mai ne
har aik yaad ka gulshan jala dia mai ne
wo piyaar jiske kasidey kayee likhe the kabhi
kitab-e-dill wo unwaan mita dia mai ne
bhatak raha tha mai rahon main jis mohabat ki
unhain mazaar ka manzar bana dia mai ne
na tumse koi gila hai na ab shikayat hai
tumhari raah se khudko hata dia mai ne
nazar mila ke jo dekhogay jaan jaaogay
ke kesey tum ko nazar se gira dia mai ne