Jo pocha dill ka soda kab kia ‘ kesay kia tum nein?

**Kaha uss nein k tum ta’beer ho aur khuwab sa hon mein
**
**Ho tum bekhuwab muddat say , azal say jagta hon mein

Jo pocha dill ka soda kab kia ‘ kesay kia tum nein?
Wo bola ek pal thehroo yahi tu sochta hon mein

Jo mein nein dasht mein ja kar pukara ‘hay khuda koi ?
Tu har zarra pukar utha kay uss ko janta hon mein

Bhala uss dar pay ja kar kiss lye khali palat aye ?
Kaha ‘ manzil ko chook r bhi laga ik rasta hon mein

Abhi socha he tha dhondhoon ufaq kay par ka rasta
Tu dil bola ‘ mera socho ‘ kabhi ka laa pata hon mein

Hawa bolo samandar say ‘ tera bhi koi bichra hay ?
Kaha ‘ ja ja kay sahal par usi ko dhondhta hon mein**

Re: Jo pocha dill ka soda kab kia ‘ kesay kia tum nein?

Dil ka soda kahan pooch ker hota hai :D

Re: Jo pocha dill ka soda kab kia ‘ kesay kia tum nein?

:lajawab:

Mujhay aik song yaad aa gia “main sonnay diya kangna soda eko jiyee” :music:

Re: Jo pocha dill ka soda kab kia ‘ kesay kia tum nein?

Its not like that. Its wayyyy sonay dia kangna soda ekko jiyaa, dil lena te dil mangna soda ikko jiyaa.