system
1
Meri har ghazal ko yeh arzoo, karey aisey ko terey ru-ba-ru
Jo terey hi jaisa ho sar-ba-sar, jo tujhi sey milta ho hu-ba-hu
Woh chaman-parast bhi haiN yahaN, jinheiN aaj tak na khabar hui
Key GuloN ki jis sey hai parwarish, raG-e-KHaar meiN hai wohi lahoo
Hui KHatm sohbat-e-maikashi, yehi daaGh seenoN meiN reh gaya
Key tuloo’a honey sey gaye, kayi aftaab-e-KHum-o-sabuu
Kayi lakh phooloN key pair-han sar-e-baaGh haNs key uRaa diye
Zahe fasl-e-Gul, woh hawa chali key chaman ki le uRRi abroo
Tujhey paa key khudh ko bhi paooN ga key tujhi meiN khoya hua hooN maiN
Yeh teri talaash hai is liye key khudh apni hai justujoo
Hui wardaat-e-sehar yahaN, to GuloN key seeney dhaRak gaye
Woh chali key teGH-e-naseem ne, kayi haath uchaal diya lahoo
Wohi aaNkh jaam-e-mai-e-hayaa, wohi aaNkh jaam-e-jahaaN-numaa
Jo nigaah uThti na thi kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo
Na yeh bhed husn ka khul sakaa, na bharan yeh ishq ka miT sakaa
Kisi roop meiN yeh hai tu key maiN, kisi bhes meiN yeh hooN maiN key tu!
Ab usi ka takiya zamaaney meiN, sunaa hai key marj’a-e-KHalq hai
Jo “Firaaq” tere liye phiraa, kabhi dar-ba-dar, kabhi ku-ba-kuu
by Firaaq Gorakhpuri
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
very nice :k:
Amal
3
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
Bohat hi shaan’daar ghazal hey KhamoshNigahein :k: … Amazing stuff. Thanx a lot for sharing this masterpiece with us 
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
Meri har ghazal ko yeh arzoo, karey aisey ko terey ru-ba-ru
Jo terey hi jaisa jo sar-ba-sar, jo tujhi sey milta ho hu-ba-hu
Woh chaman-parast bhi haiN yahaN, jinheiN aaj tak na khabar hui
Key GuloN ki jis sey hai parwarish, raG-e-KHaar meiN hai wohi lahoo
Tujhey paa key khudh ko bhi paooN ga key tujhi meiN khoya hua hooN maiN
Yeh teri talaash hai is liye key khudh apni hai justujoo
Beautiful post KN thanks 4 sharing
system
5
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
Thank you so much for liking... Shab-e-Hijr, Amal & NikamiJano :-)
Aryaan
6
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
Bohat khoob** KhamoshNigahein**…:k:
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
Vry Nice Sweety… Tnx for Sharing 
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
buhat zabardast ghazal hay KN, thanks for sharing:-)
system
9
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
Thank you Aryaan, GS bhai and Gul :-)
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
KN,
beautiful, thank you for sharing.
How r u these days and how is life sorry I have ne been on this forum for ages. bn bzy
system
11
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
^-- Thank you for liking.
Jee maiN theek thaak, aap sunayeiN kaisey haiN?
reet
12
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
bahot khoob....
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
very nice ..
system
14
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
Shukriya reet and *ghazal *:-)
system
15
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
:k:

very nice :)
system
17
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
Shukriya Aijaz and Aceones :-)
Re: ~* Jo nigaah uthi na kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo *~
Nice 

Du’aa hai aap dostooN ki