NahiN ab tou koi malaal bhi, kisi waapsi ka khayal bhi
Ghum-e-be-kasi ne miTa diya merey dil maiN tha bhi ager koi
Tujhey kya khaber hay keh raat bhar, tujhey dekh paney ko aik nazar
Raha saath chaand kay muntazir, teri khiRkiyoN se idher koi
Teri bey-rukhi kay diyaar maiN, kabhi tairgee kay hisaar maiN
Jaley kiss tarhaN se chiraag-e-jaaN, karey kiss tarhan ko safer koi
Sar-e-shaakh-e-jaaN terey naam ka ajab aik taaza gulaab tha
Jisse aandhiyooN se khater na tha, jisse tha na khizaaN se dar koi
Katey waqt chahey azaab maiN, kisi khuaab maiN ya saraab maiN
Jo nazar se doorr nikal gaya, usse yaad kerta hay har koi*
Amjad Islam Amjad**