dil ke aainey main ye soorat nazar aai mujhey
ik shiksta haal si chahat nazar aai mujhey
kia gila kesa gila kis se gila karta koi
apni he mehfil main jab wehshat nazar aai mujhey
ab koi umeed bhi karta nahi main piyaar ki
ke tardhapti gham main har hasrat nazar aai mujhey
baaghbaane ishq to mere liye hai dastaan
har chaman ik piyaar ki turbat nazar aai mujhey
ye haqeeqat hai yahaan har shakas ke Imaan ki
haq zabaan pe nazar main daulat nazar aai mujhey