Jo na mil sakay wo he bewafa
Ya bari ajeeb see baat hai
Jo chala giya mujahay choor kar
Wo he aaj tak maray satha hai
Jo kisi nazar say ata howee
Wo he roshani hai khiyal main
Wo na aa sakay rahoon muntazar
Ya khalash kahan thee wasal main
Mari justajoo ko khabar nahi
Na wo din hai na wo raat hai
Jo chala giya mujahay choor kar
Wo he aaj tak maray satha hai
Karay piyar lab par gela na hoo
Ya kisi kisi ka naseeb hai
Ya karam hai us ka dagha nahi
Wo juda behi rah kar kareeb hai
Wo hee ankh hai roo ba roo
Usi hath main mara hath hai
Jo chala giya mujahay choor kar
Wo he aaj tak maray satha hai
Mara naam tak jo na lay saka
Jo mujahay qarar na day saka
Jisay ikhtiyar tu tha magar
Mujahay apna piyar na day saka
Wo he shaksh mari talash hai
Wo he dard mari hiyat hai
Jo chala giya mujahay choor kar
Wo he aaj tak maray satha hai
Jo na mil sakay wo he bewafa
Ya bari ajeeb see baat hai