**
guzare dino ki yaad barasti ghataa lage
guzarun jo us gali se to thandi hawaa lage
mehmaan banke aaye kisi roz agar vo shakhs
us roz bin sajaaye mera ghar sajaa lage
mein is liye manaata nahi vasl ki khushi
mere raqeeb ki na mujhe bad duaa lage
wo qahat dosti ka padaa hai ki in dino
jo muskura ke baat kare aashnaa lage
tark-e-vafaa ke baad ye us ki adaa ‘Qateel’
mujhko sataaye koi to us ko buraa lage
**
- Qateel Shifai -
![]()