Jo mujh ko dekhty thakta nhi tha........

**jo mujh ko dekhty thakta nhi tha,
wo itna to badal sakta nahiN tha

kahaN ab koi waisa shehr bhar meiN,
ye jana aadmi yakta nahiN tha,

hua bezaar aisa phir na lauTa,
kadurat dil meiN jo rakhta nahiN tha,

shajar ko bad’dua kesi lagi thi,
samar lagta tha aur pakta nahiN tha

hui chahat alamat k hawaly
bayaN meiN naam aa sakta nahiN tha

mujhy aakhir wo kaisy DhunD leta,
keh dil meiN aankh jo rakhta nahiN tha**

Re: Jo mujh ko dekhty thakta nhi tha........

[QUOTE]
jo mujh ko dekhty thakta nhi tha,
wo itna to badal sakta nahiN tha

[/QUOTE]
change can happen , its natural

Re: Jo mujh ko dekhty thakta nhi tha…

**
mujhy aakhir wo kaisy DhunD leta,
keh dil meiN aankh jo rakhta nahiN tha
**
itna skht imtahan wo kia wali tha :emmy: