Jo Meri Ankhoon Se Khawab Dekho ...

Jo Meri Ankhoon Se Khawab Dekho
Tu Ek Shab Bhi Na Soo Sakoo Gay
K Laakh Chahoo Na Hans Sakoo Gay
Hazar Chahoo Na Roo Sakoo Gay
K Khawab Kiya Hain Azab Hain Yeh
Meray Dukhoon Ki Kitab Hain Yeh
Rifaqatain In Main Chotti Hain
Muhabbatain In Main Rothti Hain
Pohanchti Hain In Main Wahshatain Si
Aziatain In Main Pohttin Hain
Inhi K Dar Se Khiza Hain Jazbay
Inhi Se Shakhain Si Tutti Hain
Ghamoon Ki Bandish Hain Khawab Meray
Dokhoon Ki Barish Hain Khawab Meray
Ubal Raha Hai Dokhoon Ka Lawa
Rahin Atish Hain Khawab Mera
Khayal Saray Jhulas Gay Hain
Sulagti Khawahish Hain Khawab Meray
Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki
Lahoo Ki Sazish Hain Khawab Meray
Jo Meri Ankhoon Se Khawab Dekhoo
Tu Ek Shab Bhi Na Soo Sakoo Gay

Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki
Lahoo Ki Sazish Hain Khawab Meray
Jo Meri Ankhoon Se Khawab Dekhoo
Tu Ek Shab Bhi Na Soo Sakoo Gay

Umda :k:

Bohat Khoob :)

muje patta hai aap ne meri poetry ka reply kion kiya !!! kion ke kisi aur reply nehi di tu aap ne soch liya main kar deta hoon !! aur aik baat meri sun lain aap muje kisi ki reply nehi chaye jaab muje koi poetry paassand aye tu main post karti hoon , aur main aise larki nehi jo famous hona chachti main aik sidi sadi larki hoon !!! aur jahan muje reply kar liya maggar maine jo aap ko 3 private message diye te unn ko reply nehi kar sake !! aggar mujse baat karna burra lagta hai tu saaf saaf keh dou , kion ke insaan ko aik dosre se jooth nehi bolna chaye aur main aap ke dil ki baat achi tara janti hoon Mr Mazhar itni bhi pagal nehi hoon !! aur thanks jo aap ne itni takleef kar ke muje reply kiya jahan !!! Aur mangani Mubarak aap ko :slight_smile: ALLAH Aap Ko kush rakhe AMEEN :slight_smile:

[QUOTE]
*Originally posted by koiDost: *
Bohat Khoob :)
[/QUOTE]

Thanks :)

nice