jo meri aankhon say khawab daikho
to aik shab bhi na so sako gay
k lakh chaho na hens sako gay
hazar chaho na ro sako gay
k khawab kia hain azab hain yeh
meray dukhon ki kitab hain yeh
rafeqetain in main chouteti hain
mohebbetain in main routheti hain
pinepeti hain in main wehshetain si
azietain in main phouteti hain
inhi k der say khizan hain jazbay
inhi say shakhain si touteti hain
ghamon ki bendish hain khawab meray
dukhon ki barish hain khawab meray
ubel reha hay dukhon ka lawa
raheen aatish hain khawab meray
khayal saray jhulas gayai hain
sulegti khawahish hain khawab meray
ukherheti saansain hain zindegi ki
lahou ki sazish hain khawab meray
jo meri aankhon say khawab daikho
to aik shab bhi na so sako gay
wonderful sunny ji thanks 4 sharing!
Boy Boy thatz good :k::k::k:
Bohot khoob Uncle jeeā¦:k:
wowww zaberdast sunny ji :k:
Thx. All Of U