*Yeh musafattain raah-e-ishq mein
Kaun shehar-e-jaan ki nazar kare
Kissay shauq tanha safar kare
Kare shehar-e-furqat ki aarzoo
Kaun dasht-e-hijraan ko ghar kare
In raastoon per chal kabhi
Mere sath ban ke woh hamsafar
Jissay samjha sharee-e-rehguzar
Sar-e-raah woh kisi morr per
Badleyga manzil thee kya khabar
Mujhe faasiloon ki fikar nahe
Mere ru-ba-ru mere khwaab hain
Woh jo manzilain hain dhuwan dhuwan
Yeh jo be-nishaan se hain raastay
Mere wastay yeh azaab hain
Ab us ke aur mere darmeyaan
Hayyal anaa ke mizaaj hain
Ussay phir se milne ki chaah mein
Ab aur chalna muhaal hai
Kissay tera itna khayaal hai
Kahaan kaun tera hai muntazir
Mere dil ka mujh se sawaal hai
Meri chaahatoon ka yeh haal hai
Jo mere junoon ka arooj thaa
Wohi hausloo ka zawaal hai
Jo mere leye thaa khushi kabhi
Woh ab … Baes’s-e-malaal hai
Meri be-basi bhi kamaal hai
Nahi us se milne ki justujoo
Na hi waapsi ka khayaal hai …