Main kia likhoon ke jo mera tumhara rishta hay
Woh aashiqee ke zaban may kaheen bhe darj nahee
Likha gaya hay bohat lutf- e- wisl-o-dard- e- faraaq
Magar ye qaifiat apnee raqam nahee hay kaheen
Ye apna ishq, ham aaghoosh jis may hijr-o-wasaal
Ye apna dard ke kab se hay humdam-e-mah-o-saal
Is ishq - e- khaas ko har eik se chupaaye hue
“guzar gaya hay zamana galay lagayee huee”
Poet: Ahmed Faiz