Jo Mehav thay sar-e-aaina, pas-e-aaina bhi to daikhtay

kabhi roshni main woh Tairgee ko , chupa hoa bhi to daikhtay

Sar-e-Aab jo raha tashna lab ,to yeh zabt-e-gham ki hai intayha
Mere haal pey thay jo nuqta cheen, mera hosla bhi to daikhtay !

Woh uter gaye thay jo paar khud , Mujhay beech bahar main chor ker
Tha jo Un main itna hosla, Mujhay doobta bhi to daikhtay

Jinhain mujh say hai yeh gilla k main raha , bay nayaaz -e- khaloos -o – rabt
Mere gird Rasm -o- rawaaj ka ,woh daaira bhi to daikhtay

woh Mere hansee say hain Khush GumaaN , k nishaat-e-zeest hai mud’da
Mere Ashk-e-gham ka ruka hoa , woh Qaafila bhi to daikhtay

Hoon Saza k baad bhi mohtram , to hain hairatoN main yeh Log kion
Zara Zehr-e-Haq ka Mere Terah, kabhi zaaiqa bhi to daikhtay

Woh bohat he sehal samjh rahay thay , Mere Tashnagi See Mout ko
Meray Jism say Tooti Saans ka ,woh Raabta bhi to Daikhtay

Re: Jo Mehav thay sar-e-aaina, pas-e-aaina bhi to daikhtay

Hoon Saza k baad bhi mohtram , to hain hairatoN main yeh Log kion
Zara Zehr-e-Haq ka Mere Terah, kabhi zaaiqa bhi to daikhtay

:lajawab:

Re: Jo Mehav thay sar-e-aaina, pas-e-aaina bhi to daikhtay

are you talking about Gilani? :rotfl:

Re: Jo Mehav thay sar-e-aaina, pas-e-aaina bhi to daikhtay

great

v nice

Re: Jo Mehav thay sar-e-aaina, pas-e-aaina bhi to daikhtay

Superbub...........

Re: Jo Mehav thay sar-e-aaina, pas-e-aaina bhi to daikhtay

Bohat Umdah Sharing.......