*na koii mosum hamare mabain ki bisharato`N ka
na izhaar zehn-o-dil ki taho`N mein rehtii rafaQato`N ki kahaniyo`N ka
na ehsaas Qurbato`N ka
na ik barish mein bheegte hum kahiin se guzre
ne jism-o-jaaN ki mehek ne Qadmo`N ko dagmagaya
na koii bhoonchaal khwahisho`N k badan mein aaya
na hum ne aik dosre ki ankho`N mien khwaab dekhe
na haath thamay hoay wafa k safaR pe niklay
na yaad rakha, na rah bhoolay
na hum ne aik dosre ki umero`N ko satah pe la ker misaal-e-harf ghalat mitaya
na dil mein aisay kissi bhee ehsaas ko jagaya
mgr zalim hawa na kaisee fiza bana dii
k ab yehi raasta haii
**ab is per chalne se paoun chalnii bhee ho rahay hein tu hont sii lien
jo khwaab dekhe nahi thay hum ne
unhii k honay ka zeher pii lien***