Jo Khud ko keh Rahe Hain k Manzil Shanaas Hain

Ab Aayien Yaa Na Aayen Edhar Poochte Chalo
kiya Chahati Hai Unki Nazar Poochte Chalo,

Hum Se Agar Hai Tark-e-Taluq To kiyaa Howa
Yaaro koi To Un ki Khbar Poochte Chalo,

Jo Khud ko keh Rahe Hain k Manzil Shanaas Hain
Un ko Bhi kiyaa Khabar Hai Magar Poochte Chalo,

kis Manzil-e-Muraad ki Jaanib Rawaan Hain Hum
Aye Raah-Rawaan-e-Khaak-Basar Poochte Chalo.

http://a3.sphotos.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-prn1/s320x320/538378_439298826094730_502841853_n.jpg

Re: Jo Khud ko keh Rahe Hain k Manzil Shanaas Hain

Hum Se Agar Hai Tark-e-Taluq To kiyaa Howa
Yaaro koi To Un ki Khbar Poochte Chalo,

I really like such considerate people :k:

Re: Jo Khud ko keh Rahe Hain k Manzil Shanaas Hain

Wah. :k:

Re: Jo Khud ko keh Rahe Hain k Manzil Shanaas Hain

:hat: