jo kho'gaey haiN wo lamhay talash karta tha

ajeeb hijar parasti thi uski fitrat maiN
shajar k totay pattay talash karta tha

tamam raat wo parda hata k chaand k sath
jo kho’gaey haiN wo lamhay talash karta tha

dua’yaiN karta tha ujray hoo’vay mazaaroN par
baray ajeeb saha’ray talash karta tha

mujhay to aaj bataya ha badlooN nay “Wasi”
wo lout aa’nay k rastay talash karta tha

Re: jo kho’gaey haiN wo lamhay talash karta tha

as usual nice sharing :k:

Re: jo kho'gaey haiN wo lamhay talash karta tha

Koyal.. aapki sharing pasand ai humain.. humain bateay k aap kis chaman ko belong kerti hain aur kia kerti hain urnay aur daana khanay k ilawa :$

trying to duur karing the shikayat k koyal se koi baat nahi kerta

bohat khoob :k:

Re: jo kho'gaey haiN wo lamhay talash karta tha

nice g!

hum pak chaman se belong kartey hain lakin urtey urtey usa main poohnch gaye ...aur kaam sham main bz rehti ap sunao and thanks 4 baat karnay ka :)

thanks sheal :slight_smile:

Re: jo kho'gaey haiN wo lamhay talash karta tha

Bohat khoob,,very nice sharing Koyal..

Re: jo kho'gaey haiN wo lamhay talash karta tha

v.v.good....koko

thanks eeman :)

Buhat Hee Farigh Qisam ka Insaan Tha...................

Nice sharing:)

:aq:

Re: jo kho'gaey haiN wo lamhay talash karta tha

lol@ fariqh
its wasi shah in a different style. me liked. thanks kokojaan.
kokojaan...aap ko kis zubaan mei gupshup zyada pasand hei- birdy mei ya insaano wali? :CareBear:

Re: jo kho'gaey haiN wo lamhay talash karta tha

Hmmmmm ... nice sharing KOKO :~)

hum wo nahi hia k...... Jaan kah kar jo bula'ya tu bura mano gaye :D

very nice.....wasay ye kia ho raha hai umm?

Re: jo kho'gaey haiN wo lamhay talash karta tha

fantastic....................bohat bohat umda.............!!!!!!