**
Kehtay hain log dukh dikhaaya nahe kartay
Ab aansoo bhi tau aankh se jaaya nahe kartay
Jo kho chukay hon umeedain sari jeene ki
Unhain jhooti aas se behlaaya nahe kartay
Jin ki khushiyaan de jayain gham itnay
Woh phir kisi baat per muskuraaya nahe kartay
Rooth jaaye jab muhabbat tau kari dhoop mein
Baadal bhi sir pe saaya nahe kartay
Ab aur sitam na kar is sitam-zaad pe
Tootay diloon ko sataaya nahe kartay
Jo sachi muhabbat kartay hain na dosto
Apne pyaroon ko rulaaya nahe kartay
Yeh haqeeqat hai nahi afsaana koi
Jo jaatay hain laut ke aaya nahe kartay …
**
Amal
2
Re: ~~ Jo jaatay hain laut kar aaya nahe kartay ~~
Bohat achi ghazal hey Arif :k: … thanx for sharing it with us…
Re: ~~ Jo jaatay hain laut kar aaya nahe kartay ~~
boht umda ghazal hai. thanks for sharing with us :)
Aryaan
4
Re: ~~ Jo jaatay hain laut kar aaya nahe kartay ~~
Very Nice Arif..:k:
Re: ~~ Jo jaatay hain laut kar aaya nahe kartay ~~
baut hi hala sharing
Re: ~~ Jo jaatay hain laut kar aaya nahe kartay ~~
Umdah Ghazal hai
:k: