Yun bhi hum pyar ke saamaN bana lete hain
Jo ho qatil usse mehmaan bana lete hain
Kash dete wo sabq unko lubhane ka hamen
Wo jo kafir ko musalmaan bana lete hain
Jo bhi aae pasand uski riaya bun kar
Usko ek raat ka sultan bana lete hain

Iss qadar sada dili tumne na dekhi hogi
Hum luteron ko nigahbaan bana lete hain
(dedicated to Zardari)
ehsan
2
Re: Jo ho qatil usse mehmaan bana lete hain
Jo ho Qatil ussay mehmaan bana letey hain
lagta hai yeh sahir bhai kay liye likha gaya hai.
Re: Jo ho qatil usse mehmaan bana lete hain
ji aur mehmaan banae wale bhi forun aa gaye 
tarash
4
Re: Jo ho qatil usse mehmaan bana lete hain
Iss qadar sada dili tumne na dekhi hogi
Hum luteron ko nigahbaan bana lete hain
(dedicated to Zardari)
hamein aisay hi hukamraan chaheay
hum isi qabil hain
Diva
5
Re: Jo ho qatil usse mehmaan bana lete hain
Bhari javani mein mernay ka shock?!? :O
tarash
6
Re: Jo ho qatil usse mehmaan bana lete hain
bhari javani????
adhori javani bhi hoti hai kya?