jo guzr gaya su guzr gaya

Ye safr bhee kitna taweel hai, yahaan waqt itna qaleel hai
Kahan laut kur koi aay ga, jo guzr gaya su guzr gaya

Wo wafaein theen k jafaein theen, na soch kis ki khatain theen
Wo tera hai ussay galay laga, jo guzr gaya su guzr gaya

Koi farq’ey shah o gada nahi k yahaan kissi ki baqa nahi
Ye ujaar mehloon ki sun sada, jo guzr gaya su guzr gaya

Tujhay aytebaar o yaqeen nahi, nahi duniya itni buri nahi
Na malal kur meray saath aa, jo guzr gaya su guzr gaya

buhat hi khobsorat ghazal.. umda choice Hearto :)

Beautiful :)

thanxxx Gul jji and Rameesha sis....:)

**HeArT HaCKeR **
Superb, as always :k::k::k:

gud stuff...

beautiful:k::k::k:
thanks:flower1:

Beautiful

Very nice....

Guzar rahi hai guzar rahay hain
Guzar jaya gee guzar dain gay...

(Dilsay)

boht khob :):k:

thanx guyzzzzz

Re: jo guzr gaya su guzr gaya

superb:k:…amazing stuff. thanx for sharing :slight_smile:

zaberdasttt :k:
:slight_smile: