Ham’e-waqat rang’o’malal kia jo guzar gaya so guzar gaya
Usay yad kar kay na dil dukha jo guzar gaya so guzar gaya
Na gila kiya na khafa huay yunhi rastay mein juda huay
Na tu baywafa na main baywafa jo guzar gaya so guzar gaya
Woh azal ki aik kitab tha woh guloon mein aik gulab tha
Zara dair ka koi khwab tha jo guzar gaya so guzar gaya
Mujhay pathroon ki kahanian na suna suna kay udas kar
Tu khizaan ka phool hai muskura jo guzar gaya so guzar gaya
Woh udas dhoop samait kar kaheen wadioon mein utar chuka
Isay ab na day mere dil sada jo guzar gaya so guzar gaya
Yeh safar bhi kitna taviel hai yahan waqat bhi kitna qaleel hai
kahan lout kar koi aaye ga jo guzar gaya so guzar gaya
Woh wafaien thien kay jafaien thien na yeh soch kis ki khataien thien
Woh tera hai is ko galay laga jo guzar gaya so guzar gaya
Tujhay aitbaar-o-yaqeen nahi, nahi dunia itni buri nahi
Na malal kar mere sath aa jo guzar gaya so guzar gaya