Jo ghair thay wo isi baat per hamaray huway

**Jo ghair thay wo isi baat per hamaray huway
k hum se doost bohat be khabr hamaray huway

kisay khabar wo mohabbat thi ya raqabat thi
bohat se log tujhe dekh kr hamaray huway

ab ik hajoom e shikesta dilan hai sath apnay
jinhain koi na mila humsafar hamaray huway

kisi ne gham to kis ne mizaj e gham bakhsha
sab apni apni jagah charagar hamaray huway

bujha k taaq ki shamain na dekh taroon ko
isi junoon main to barbaad ghar hamaray huway

wo aitamad kahan se Faraz lain gay
kisi ko choar k wo ab ager hamaray huway…!**

Re: Jo ghair thay wo isi baat per hamaray huway

:k:

Re: Jo ghair thay wo isi baat per hamaray huway

**bujha k taaq ki shamain na dekh taroon ko
isi junoon main to barbaad ghar hamaray huway

so true :k:
**

Re: Jo ghair thay wo isi baat per hamaray huway

wo aitamad kahan se Faraz lain gay
kisi ko choar k wo ab ager hamaray huway...!