**
jo dil ne kahi lab pe kahaan aai hai dekho**
ab mahafil-e-yara me bhi tanhai hai dekho
phuulon se havaa bhi kabhi ghabrai hai dekho
Ghunchoon se bhi shabanam kabhi katraai hai dekho
ab zauq-e-talab vajah-e-junoon Thair gayaa hai
or arz-e-vafaa baais-e-rusvaai hai dekho
Gham apne hi ashkoon ka Kharidar hoa hai
dil apni hi halat ka tamashai hai dekho.