Hum " Aah" bhi kartey hain tou, ho jaatey hain Bud-naam
Woh Qatal bhi kartey hain tou, Churcha nahin hota..
Shumm’a Jalti hai , Parwaaney chaley Aatey hain
Sar ke Bul ISHQ ke Deewaaney chaley aatey hain
Ab tu Aajaao meri jaan, ke Janaaza uthney ko hai
Loug tu ghairon ko bhi dafnaaney chaley aatey hain
Mujh ko paana hai tou phir Mujh mein utar kar dekho
Yoon Kinaarey sey Samandar nahin dekha jaata
Mein kissi Sheher mein jab bhi koi Rusta poochoon
Jaaney kiyon laug Terey ghar ka pata detey hain
Sab ke honton pe tabassum tha merey Qatal key baad
Jaaney kiya soch ke rota raha Qatil Mera
~ Jaaney Uss shakhs ko kaisa yeh hunar aata hai
Raat hoti hai tou, aankhon mein utar aata hai