Jo dharti bhook ugalti ho

***Jo dharti bhook ugalti ho aur dukh falak se girta ho…
Jis des ke koochay koochay mai aflaas awara phirta ho…
Jahan bhhokay nangay bachay bhi ahon pr paalay jate hon…
Jahan sachai ke mujrim bhi zindan mai dale jate hon…
Jahan mazloomon ke khoon se mahal apnay dhoay jate hon…
Uss des ki matti barson se ye dukh jigar pe sehti hai…
Aur apne des ke logon ko Azadi Mabarak kehti hai… ***

Re: Jo dharti bhook ugalti ho

:lajawab: sher

Re: Jo dharti bhook ugalti ho

bitter truth