Re: jO dard apani had se barha dil bana diya …
**
bahooot umda she’r marHamat farmaayaa hai aapne. mere maHboob shaa’ir AsGhar Husain “AsGhar” GonDvii kii isii Ghazal ke do aur ash’aar mulaaHizah farmaaiye jo mujhe be-intihaa pasand hai:
yuN muskuraaye, jaan sii kaliyoN meN paR gaii
yuuN lab_kushaa huye k gulistaaN banaa diyaa
maiN kaamiiyaab-e-deed bhii, maHroom-e-deed bhii
jalvoN ke azdahaam ne Hairaan banaa diyaa
shukria**