jO dard apani had se barha dil bana diya ........

samajha tha mian mujhe kisi qabil bana diya
yeh kya kiya ki dard kO phir dil bana diya

Gam ne taGaiyuraat ke qabil bana diya
jO dard apani had se barha dil bana diya

itanii karri nigaah se dekha na kijiye
har rishta-e-nazar kO rag-e-dil bana diya

har zarra rahaguzar ka tO heera naheen “Siraj”
jis main salahiyat thi use dil bana diya


achha hay, achha kaha hay. Isi zameen main asghar hussain gondvi ka sher suniay,

Aalaam-e-rozghar ko aasaN bana dia
jo gham mila uusay gham-e-janaN bana dia.

Aadab.


Among the things I have ever lost,
I miss my mind the most.

Re: jO dard apani had se barha dil bana diya …

**
bahooot umda she’r marHamat farmaayaa hai aapne. mere maHboob shaa’ir AsGhar Husain “AsGhar” GonDvii kii isii Ghazal ke do aur ash’aar mulaaHizah farmaaiye jo mujhe be-intihaa pasand hai:

yuN muskuraaye, jaan sii kaliyoN meN paR gaii
yuuN lab_kushaa huye k gulistaaN banaa diyaa

maiN kaamiiyaab-e-deed bhii, maHroom-e-deed bhii
jalvoN ke azdahaam ne Hairaan banaa diyaa

shukria**

Re: jO dard apani had se barha dil bana diya …

Arsh and KKF kaya baat hai :k:

Re: jO dard apani had se barha dil bana diya …

Khalil bhai aaj kal aap kis mission par heiN? :slight_smile:

Re: jO dard apani had se barha dil bana diya …

shukria UZ…:slight_smile:

Kamakazii mission par vo bhi bhai Lethal Kamakazi ke :smiley:

Re: jO dard apani had se barha dil bana diya …

kami kazi mission per :eek: Woh kyoon :asa:
kaheen pey nighahein kaheen pey nishana :whistle:

Re: jO dard apani had se barha dil bana diya …

hehehe…mujhe abatoN baatoN meN “KAANAA” kah diyaa? :o :wink:

Re: jO dard apani had se barha dil bana diya …

Awesome… jeetay rahoo KKF bhai!

Re: jO dard apani had se barha dil bana diya …

thankoo thankoo thankoo :slight_smile: