Aankhon mein raha dil mein uter ker nahi dekha
kashti kay musaafir nay samander nahi dekhaa
baywaqt ager jaaon gaa sab chonk parein gay
ik umer hoi din mein kabhee ghar nahi dekhaa
jiss din say chala hoon meri manzil per nazar hai
aankhon nay kabhee mael ka pather nahi dekha
yeh phool mujhay koi wiraasat mein milay hien
tum nay mera kaanton bharaa bister nahi dekhaa
Yaaron kee muhabbat ka yaqeen ker liya mein nay
Phoolon mein chupaaya hua khanjar nahi dekhaa
Mahboob ka ghar ho kay bazurgon kee zameenein
jo chor diyaa phir ussay mur ker nahi dekhaa
Khat aisa likha hai kay nageenay say jurray hien
in haathon nay laikin koi zaiwer nahi dekhaa
pather mujhay kahta hai mera chaahnay waala
Mein mom hon uss nay mujhay choo ker nahi dekhaa
woh meray masaayil ko samajh hi nahi saktaa
jiss nay meri aankhon mein samander nahi dekhaa