**Na ganvao navak-e-neem-kash dil-e-rayza rayza ganva diya
Jo bachay hain sung samayat lo tan-e-daagh daagh luta diya
Meray charah gar ko naveed ho saf-e-dushmanon ko khabar karo
Wo jo qarz rakhtay thay jaan per wo hisaab aaj chuka diya
Karo aaj jabeen pay sar-e-kafan meray qaatilon ko gumaan na ho
Keh gharoor-e-ishq ka baankpun pas-e-marg hum nay bhula diya
Udher aik harf keh kashtni yahan laakh uzr tha guftani
Jo kaha to sun kay udra diya jo likha to parh kay mita diya
Jo rukhay to koh-e-garaan thay hum jo chalay to jaan say guzer gaye
Rah-e-yaar hum nay qadam qadam tujhay yaadgaar bana diya**