~Jo Chalay To Jaan Se Guzar Gaye~

Na ganwa’o navak-e-neemkash, dil-e-reza reza ganwa diya
jo bachay hein sung sameit lo, tan-e-dagh dagh lutaa diya

mere charagar ko naveed ho, saf-e-dushmana ko khabar karo
woh jo qarz rakhtay thay jaan par,wo hisaab aaj chuka diya

karo kaj jabeen pe sar-e-kafan, mere qaatilon ko gumaan na ho
ke ghuroor-e-ishq ka baankpan, pas-e-marg hum ne bhula diya

udher ek harf ki kushtni, yahan laakh uzr tha guftni
jo kaha to sun ke urda diya, jo likha to parh ke mita diya

jo rukay to koh-e-garan thay hum, jo chalay to jan se guzar gaye
rah-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhe yaadgaar bana diya

~Faiz~

Re: ~Jo Chalay To Jaan Se Guzar Gaye~

very nice

mere charagar ko naveed ho, saf-e-dushmana ko khabar karo
woh jo qarz rakhtay thay jaan par,wo hisaab aaj chuka diya

ye be-nazir ke poster ke neeche likha dekha hai maine Kaarsaz per

Re: ~Jo Chalay To Jaan Se Guzar Gaye~

Awesome..! my all time Favourite :lajawab:

Re: ~Jo Chalay To Jaan Se Guzar Gaye~

Niceee :k:

Re: ~Jo Chalay To Jaan Se Guzar Gaye~

jo rukay to koh-e-garan thay hum, jo chalay to jan se guzar gaye
rah-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhe yaadgaar bana diya

:k: