Jo chalay tau jaan sy guzaar gayye..!

Tujhe Kya Khabar Mere Haal Ki

Mere Dard Mere Malaal Ki

Yeh Mere Khayal Ka Silsila

Kisi Yaad Se Hai Milaa Hua

Usse Dekhna Usse Sochna

Meri Zindgi Ka Hai Faisla

Yeh Usi Ki Palkon Ke Saaye Hein

Meri Rooh Mein jo Utar Gaye
**
Yeh janoon-e- manzil-ee ishq hai

Jo Chale Tou Jaan Se Guzar Gaye**

Mujhay is Muqaam Pay Chorna

Hai yeh Bewafi Ki inteha

Yeh Kafs ho jaisay Khuli Fiza

Yehi Sukh ka sans mein loon sada

Jinhain teri deed ki piyas thi

wo katoray nainoon say bhar gaye
**
Yeh janoon-e-- manzil-ee ishq hai

jo chlay to jaan say guzar gaye**…