Jo Chala Gya Mujhe Chor Ker Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka
Wohi Doorian, Wohi Faasle Main Kabhi Na In Ko Mita Saka.
Kya Use B Mujh Se Pyar Tha Ya Tabussum Us Ka Shuar Tha
Wo Koi Ajib Sawaal Tha Jo Meri Samajh Mein Na Aa Saka
Meri Zindagi Ka Sakoon Tha Wo Mere Dil Ka Ik Junoon Tha
Wo Meri Bandagi Mera Pyar Tha Yehi Bat Na Main us ko Bta Saka
Yehi Sochta Tha Main Raat Bhar Jo Kabhi Mile Ga wo Raah Par
To Karon Ga Us Se Shikayaitein wo mila to lab na hila saka.
bahot Khoob..is kii bahr mujhe bahot bhali lagii kiuN k yeh merii maHboob tareen bahr hai. isii se miltaa jultaa ek gaanaa bhii thaa:
jo chalaa gayaa use bhool ja, vo na mil sakgaa tu bhoola jaa!
maiN ne is Ghazal ko gungunaa kar bhii paRhaa...lutf aa gayaa. thank you Fizza. :)