**Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya
Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya
**
**
Jis nay mord k daikha na meri soo bus ik simt ko chal parda
Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya **
**
Wo meray dil kee kitaab thha meri jostojoo ka jawaaz thha
Wo mera maazi-o-haal thha jo chala gaya wo chala gaya**
**
Main taptee dhoop kee khhaak thha wo meray sar pay ik dhal thha
Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya**
**
Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa
Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya**
**
Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main
Thha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya**
**
Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka
Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya**
**
Shaukat ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay
Ye luzzat benazir hay jo chala gaya wo chala gaya**