Jo Chala Gaya Mujhay Chorh, Kar Wohi Aaj Tak Meray Saath hai...!!

[thumb=H]poetrysmall5718_6833031.JPG[/thumb]

**
Jo chala gaya mujhay Chorh kar , Wohi
Aaj tak Meray Saath hai
Jo Na Mil saka Wohi Bewafa , Ye Bari Ajeeb si baat hai

Jo Chala Gaya Mujhey Chorh Kar , Wohi aaj taak meray saath hai

Jo Kisi Nazar Say Ata hui, Wohi Roshni hai
Khayal main

Woh Na asakay Rahoon Muntazir, Ye Khalish Kahan Thee Visaal main

Meri Justujoo Ko Khabar Nahin, Na woh Din rahay Na raat Rahay

Jo Chala Gaya Mujhay Chorh Kar, Wohi Aaj tak Meray Saath hai

Karay Pyar Lub Per Gila na hoo, Ye Kisi Kisi
Ka Naseeb hai

Ye Karam Hai Iski Jifa Nahin , Woh Juda Bhi Reh Kar Kareeb Hai

Wohi Ankh hai Meray Rubaroo, Ussi Haath main Mera Haath hai

Jo Chala gaya Mujhey Chorh Kar, Wohi Aaj

Tak meray saath hai

Jisaay Ikhtiayaar Tu tha Magar, Mujhay apna Pyar na Dey sakha

Wohi Shaks Meri Talaash hai ,wohi dard meri hayaat hai

Jo chala gaya mujhay Chorh kar , Wohi
Aaj tak Meray Saath hai..............!!

**

Wonderful… one of my fav.. thanks Lamhay :flower1:

It sounds even better.. in Madam Noor Jehan’s voice :slight_smile:

bohat khoob :k:

Wohi Shaks Meri Talaash hai ,wohi dard meri hayaat hai

Jo chala gaya mujhay Chorh kar , Wohi
Aaj tak Meray Saath hai..............!!

buhut khoob Lamhay

Thanks KN , CC and Kamal !!

Tnx For Shairing Lamhay Gi :flower1:

Zabardast …:k:

hmmm nicE!!!

Bohat khoob.. :k:

:flower1: