Jo na mil saka wohi bewafa, yeh bari ajeeb si baat hai
Jo chala gaya mujhay chhor kar, wohi aaj tuk meray sath hai
jo kisi nazar se ataa hui,wohi roshni hai khayal may
woh na aa sakay,rahoon muntazir, yeh khalish kahan thi wisaal may
meri justuju ko khabar nahin, na woh din rahay na woh raat rahay
jo chala gaya mujhay chhor kar wohi aaj tuk meray sath hai
karay pyar lub pe gila na ho,yeh kisi kisi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahin,woh juda bhi reh kar qareeb hai
wohi aankh hai meray roo-baroo,usee haath may mera haath hai
jo chala gaya mujhay chhor kar wohi aaj tuk meray sath hai
mera naam tuk jo na le saka,jo mujhay qaraar na day saka
jisay ikhtyaar tau tha magar, mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs meri talash hai,wohi dard meri hayaat hai
jo chala gaya mujhay chhor kar wohi aaj tuk meray sath hai
![]()