**
sayr kahaan ki, kia kia daykha, job hi beeta, haal likho
kaysay guzra saal tumhara, ham ko sab ehwaal likhoo
pehlay pehal jab mulk chouta aur dayss naya ek daykha too
kis ko soucha, yaad kia, kia kia aaey khayal, likhoo
kia yaad hamaree aee thee ya bhool gaeey har ehad-e-wafa
waqt nay kuch baqi bhi rakha ya ho gaya sab pamaal, likhoo
batain ous nay kaysee ki theen, kitna acha tum ko laga wo
mujh sa, behtar, kaysa paya, ous ki misaal likhoo
zakham jo tum nay ham ko deeyay thay, sab hain taza waysay hi
haal tumhara ab hay kaysaa, dil ki khalish ka haal likhoo
**
Dilsay
2
Masha Allah beautiful like always... thanks for sharing
zakham jo tum nay ham ko deeyay thay, sab hain taza waysay hi
haal tumhara ab hay kaysaa, dil ki khalish ka haal likhoo
Wah..so Straight and Lovely!
system
4
Re: ~~ jo bhi hay likhoo ~~
Wow :k: its beautiful 