Re: **jo bhi ghir say jata hai**
****Nahi hai rutt ye milnay ki woh mosam aur hi ho ga
tere anay ki ghariyon ka wo alam aur hi ho ga
koi madham mehak aa kar galay ka haar bnti hai
udasi hijr ki jaisay wisaal-e-yaar bnti hai
tere phooloan say hontoan par tabassum aur hi ho ga
jahaan jis main rafakat ki khushi mehsoos hoti hai
MUHABBAT jis main har shay daaemi mehsoos hoti hai
hamaray haal k razoan ka mehram aur hi ho ga
TERE ANAY KI GHARIYOAN KA WO ALAM AUR HI HO GA****