**jo bhi ghir say jata hai
ye keh kar hi jata hai
daikho mjh ko bhool na jana
main phir loat k aaun ga
dil ko achay lagnay walay
lakhoan tohfay laaun ga
naey naey logoan ki batain
aa kar tumhain sunaaun ga
laikin ankhain thakk jati hain
wo wapis nahi aata hai
log bohat hain aur woh akaila
un main gum ho jaata hai
**
Re: **jo bhi ghir say jata hai**
****Nahi hai rutt ye milnay ki woh mosam aur hi ho ga
tere anay ki ghariyon ka wo alam aur hi ho ga
koi madham mehak aa kar galay ka haar bnti hai
udasi hijr ki jaisay wisaal-e-yaar bnti hai
tere phooloan say hontoan par tabassum aur hi ho ga
jahaan jis main rafakat ki khushi mehsoos hoti hai
MUHABBAT jis main har shay daaemi mehsoos hoti hai
hamaray haal k razoan ka mehram aur hi ho ga
TERE ANAY KI GHARIYOAN KA WO ALAM AUR HI HO GA****
Re: jo bhi ghir say jata hai
Bohat Khoob 
Re: jo bhi ghir say jata hai
Gum ho jata hai kya kehne bohat umda :k: keep sharing such gud stuff !
Aryaan
5
Re: jo bhi ghir say jata hai
Bohat khoob Maya..:k:
Re: **jo bhi ghir say jata hai**
bohot aala
_H_NK
7
Re: **jo bhi ghir say jata hai**
bohot khoob!
Sannan
8
Re: **jo bhi ghir say jata hai**
**jo bhi ghir say jata hai
ye keh kar hi jata hai
daikho mjh ko bhool na jana
main phir loat k aaun ga
Buhuat khoubsurat sharing janab .... keep it up
**