Is zindagi main hussn ko nikhaar chahiyye
Ujray hain jo gulshan unhain bahaar chahiyye
Deewano ko ye chahiyye had se barhain na woh
aur aashqon ko dil pe ikhtiyaar chahiyye
Unko nahi tassalliye dil yaar ki taraf
Iqraar hogaya hai tu izhaar chahiyye
Sun kar awaaz yaar ki kehtay hain machal kar
Kaafi nahi guftaar hi deedaar chahiyye
Mohabbat ke liye laazim hain kuch ashyaai khaas bhi
Dil_o_jaa’n chahiyye imaan_o_aitbaar chahiyye
Ye sab tu hum ne paaya magar ik aur khaahish hai
** Jo bewafa na ho hamain woh yaar chahiyye **
Re: Jo bewafa na ho
you won’t find any in this world ![]()
PS: bohut khoob…aashqon ko dil pe ikhtiyaar chahiyye :k:
Re: Jo bewafa na ho
jo paise de kar na mange mujhe woh yaar chiyay:D
.
.
.
.
PS: bhur achay:k:
Re: Jo bewafa na ho
hi jaan lewa ..... kal app kaha gay .... remember in room jis may app aik hi Q pooch rhaay thay what is LUV means..........
Re: Jo bewafa na ho
Nice one ![]()
Re: Jo bewafa na ho
thx all ![]()
Re: Jo bewafa na ho
yaad hai tou app ne pata kiya k wat doez luv meanz???
Re: Jo bewafa na ho
Very nice…
Uss ki woh jaaney usse paas-e-wafa tha ke naa tha
Tum Faraaz upni taraf sey tow nibhatey jaatey
Re: Jo bewafa na ho
^ :k: